Thursday, August 11, 2011

Kyon Karte Ho...

Kisi ke ishq me khud ko barbaad kyon karte ho,
Use bewfa samjhte ho to ijhar kyon karte ho,
Jante ho aukat nahi hain teri Taj banwane ki to phir kisi Mumtaj se pyar kyon karte ho.

Thursday, August 4, 2011

Khuda se bhi pehle

Teri berukhi ko bhi rutba diya humne.
Pyar ka har farz ada kiya humne.

Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe;
Aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.

Monday, July 18, 2011

koi baat nahi

Faasle Itne To Pehle Na Hua Karte The
Main Wahi Hoon Jise Wo Apna Kaha Karte The
Wo Bhool Gaye Mujhe Chalo Koi Baat Nahi
Zakhm To Is Dil Ko Pehle Bhi Mila Karte The…

Saturday, July 2, 2011

Aapse pyar

Deewane Hai Tere Naam Ke Is Baat se Inkar Nahi, Kaise Kahe Ki Hamein Aapse Pyar Nahi, Kuch To Kasoor Hai Aapki Nigahon ka Hum Akele To Gunehgaar Nahi…

Mera Naam toh aya

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya khali hi sahi haathon me jaam to aaya main hoon bewafa sabko bataya usne yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya.