Saturday, July 2, 2011
Bekasur
unke chehre pe is kadar noor hai, ki unki yaad mein rona bhi manzoor hai, bewafa bhi nahi keh sakte unko, pyar toh humne kiya hai woh toh bekasur hai…
Neelaam kar gaya
Aaj door se hi koi salaam kar gaya, apni yaadon ka humne gulaam kar gaya, apni zindagi girvi rakhkar khareeda tha jise, aaj vahi hame neelaam kar gaya.
Toofaan
Khali shishe bhi nishan rakhte hain, Tute hue dil bhi armaan rakhte hain, Jo khamoshi se gujar jaye,wo dariya bhi dil mein toofan rakhte hain…!
Hummein Satana Chhor de
Suraj se kaho roshni dena chhor de,
Sitaro se kaho timtimana chhor de.
Agar tum nahi aa sakte to,
apni yadon se kaho Humein satana chhor de…
Sitaro se kaho timtimana chhor de.
Agar tum nahi aa sakte to,
apni yadon se kaho Humein satana chhor de…
Chahe Aap Bhulado
Aap Hame Rulado Hame Gam Nahi
Aap Hame Bhulado Hame Koi Gam Nahi
Jis Din Humne Aap Ko Bhula Diya
Smaj Lena Is Duniya Me Hum Nahi
Aap Hame Bhulado Hame Koi Gam Nahi
Jis Din Humne Aap Ko Bhula Diya
Smaj Lena Is Duniya Me Hum Nahi
Subscribe to:
Posts (Atom)