Saturday, July 2, 2011

Neelaam kar gaya

Aaj door se hi koi salaam kar gaya, apni yaadon ka humne gulaam kar gaya, apni zindagi girvi rakhkar khareeda tha jise, aaj vahi hame neelaam kar gaya.

Toofaan

Khali shishe bhi nishan rakhte hain, Tute hue dil bhi armaan rakhte hain, Jo khamoshi se gujar jaye,wo dariya bhi dil mein toofan rakhte hain…!

Hummein Satana Chhor de

Suraj se kaho roshni dena chhor de,
Sitaro se kaho timtimana chhor de.
Agar tum nahi aa sakte to,
apni yadon se kaho Humein satana chhor de…

Chahe Aap Bhulado

Aap Hame Rulado Hame Gam Nahi
Aap Hame Bhulado Hame Koi Gam Nahi
Jis Din Humne Aap Ko Bhula Diya
Smaj Lena Is Duniya Me Hum Nahi

Sunday, May 8, 2011

Saza

Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
ishq to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,
phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain